Kabhi pehli baar school jaane mein dar lagta tha,
aaj akele hi duniya ghum lete hai!
Pehle 1st ane k liye padhte the,
aaj kamane k liye padhte hai!
Gareeb Dur tak chalta hai Khana khane ke liye
Ameer meelo chalta hai Khana pachane ke liye
Kisi ke paas khane ke liye ek waqt ki roti nahi hai
Kisi ke paas roti khane ke liye Waqt hi nahi hai
Koi lachaar hai isi liye beemar hai
Koi beemar hai isi liye lachaar hai
Koi apno ke liye roti chod deta hai
Koi roti ke liye apno ko chod deta hai
Ye duniya bhi kitni nirali hai.
Kabhi waqt mile to sochna
Kabhi choti si chot lagne pe rote the,
aaj dil tut jaane pe bhi sambhal jate hai!
Pehle hum dosto k sath rehte the,
aaj dosto ki yaadon me rehte hai!
Pehle ladna manana roz ka kam tha,
aaj ek bar ladte he to rishte kho jate hai.
Sach me zindagi ne bahut kuch sikha dia,
jane kab hmko itna bada bana diya..
No comments:
Post a Comment